Monday, 9 February 2026

Waqt

∆ Maut se bhi bhari saza hai
    Yaadein k sath zinda rehna


∆ Har roz teri yaad aati hai
    Yaar koi toh din aisa ho ki tu aa jaye

∆ Kismat mein na sahi, dil mein hamesha      rahogey
    Woh kehte hai na kuch kahaniya bina          alvida kahe khatam ho jati hai 

∆ Jisse roz baatein karne ki aadat thi.
    Aaj uske ek awaz ko kaan tarash jati hai
    Is waqt ne humse kya kya cheena aye          dost
∆ Raat bhar jagta raha 
    Par yeh faisla na kar saka ki tu yaad aa        raha hai ya mein yaad Kar raha hoon

∆ Intezar hamesha rahega
    Bus ab awaz nahi denge.

∆ Jiske Sath Sakoon bahut milta hai.
    Uske sath waqt bohot Kum milta hai.

∆ Ajib Hadhsho se gujri hai zindagi 
    Hum to reh gaye magar hamara ruh              chali gayi

∆ Kya likhu apne bare mein e zindagi
    Tune to mere sare khawab tabah kar            diye
   Zindagi ne mujhe USS Umar mein udaas     kar diya 
   Jis umar mein log sare shoq pura karte      hain
 
∆kitna muskil hai yeh zindagi ka safar
   Pariwar, bache, maa baap ne marne nahi     diya, aur logon ne jeene.

Sunday, 8 February 2026

Yaadein

∆ Sabse muskil safar kya hai ??

  Kisi k sath agey badh akele wapas lautna.

∆ AUR KUCH KAHANIYAN 
BINA ALVIDA KAHE HI KHATAM HO JATI HAI.

∆ Thoda aur waqt bitana tha tumhare sath
    Thodi aur batein karni thi, thoda aur            ladaiyan ladni thi tumhare sath
    Thoda pyar jatana tha. 
    Magar tum chale gaye
    Tumey jane ki jaldi thi.
    Aur tumne pichey mud kar bhi nahi              dhekha.

∆Bade mehengey padey mere rishtey mere
   Logo ne apna apna keh kar
   Mujhse meri zindagi chin li.

∆ Koi Umeed nahi tere Milne ki
    Dekh Tera phir bhi INTEZAR hai


∆ Kuch kehne ko nahi.
   Ajib chal rahi hai zindagi
   Na mein khud se khush hoon
   Na koi mujhse. 

∆ Tere jane k baad
    Kuch nahi badla
    Raat phir se aayi, chand phir se aaya
    Lekin woh sukoon wali neend kabhi             nahi aayi.

∆ Aaj phir roya hoon 
   Un palon ko yaad karke
   Jo humne ek sath bitayi thi.
   Woh bhi ek zamana tha...
   Jab mere chehre se hasi nahi rukti thi
    Aur aaj aanso nahi ruk rahe.